code hindi Information technologyCareer blogs Courses info Digital Marketing About

Firewall kya hota hai?

Firewall ek security system hota hai jo network ko protect karta hai. Ye ek digital barrier hoti hai jo unauthorized access, data leaks, ya harmful traffic ko rokta hai. Jaise ki ek building ke entrance pe security guard hota hai, waise hi firewall network ke ander unauthorized ya harmful data ko block karta hai.

Firewall incoming aur outgoing traffic ko monitor karta hai. Wo decide karta hai ki kaunsi information enter ya leave kar sakti hai network se, based on set rules aur security policies. Isse hackers, malware, ya unauthorized access se bachaya ja sakta hai, aur sensitive information safe rehti hai.

Firewall kayi tarah ke hote hain based on their functionality aur kis layer par kaam karte hain:

Packet Filtering Firewalls

Ye sabse basic form hote hain jo incoming aur outgoing packets ko analyze karte hain based on predefined rules, jaise ki source/destination IP address, ports, aur protocol. Ye packets ko allow ya block karte hain.

aur kuch types hai yeh:
Stateful Inspection Firewalls
Proxy Firewalls
Next-Generation Firewalls (NGFW)
Application Firewalls
Hardware Firewalls
Software Firewalls

Har type ka firewall alag-alag layers aur tariko se security provide karta hai. Organizations apne needs ke according inmein se kisi specific type ka firewall choose karte hain apni network security ko enhance karne ke liye.

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai