code hindi Information technologyCareer blogs Courses info Digital Marketing About

Encryption matlab kya hota hai?

Encryption matlab kya hota hai? Is short video mein samajhte hai. Encryption ek technique hai jisse ham data ko secret tarike se lock karte hain. Iska matlab hai ki jab ham koi information ko encrypt karte hain, to wo sirf un logon ke liye accessible hoti hai jinke paas us data ko decrypt karne ke liye special key hoti hai.

Socho ki encryption ek jaise ek chabi hai jo sirf authorized vyakti ko pata hoti hai. Jab aap kuch data encrypt karte hain, to us data ko kisi bhi third party ya hacker se bachaya jata hai, aur wo us data ko bina chabi (key) ke nahi dekh sakta.

Encryption ka main upayog hota hai data ki suraksha mein, jaise ki bank transactions, online shopping, aur personal messages. Isse ye hota hai ki aapka private aur sensitive information surakshit rahti hai, aur koi bhi aapke data ko bina permission ke nahi dekh sakta.

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai