code hindi Career blogs Courses info Digital Marketing Information technology About

LLB course ki jankari

LLB ya bachelor of legislative law ek undergraduate course hai. 3 saal ka cours hota hai aur 6 semesters me divided hota hai yeh. 6th semester complete ho jaane ke baad students ko LLB ki degree di jaati hai. Jo students law padhna chahte hai lekin advocates ki practice nahi karna chahte hai wo 4th semester complete karke LLB (general) ki degree le sakte hai. India me legal education ki body hai bar council of india. Law course ke 2 options hai graduation ke baad 3 saal ka llb course aur 12th ke baad 5 saal ka BA LLB hons degree jo ek integrated course hai. Dono me se koi bhi ek tarike se aap Law ki degree prapt karke legal practice kar sakte hai.

Llb ki eligibility:
Graduate like BA, Bcom, bsc with min 40% marks (35% for sc/st) Kaafi universities ya institutes percentage criteria rakh sakti hai jaise minimum 45% ya 50%. Yeh har university me alag ho sakta hai.

Llb ke liye entrance test bhi hote hai. Aaiye kuch entrance test ke bare me aapko bata deta hu
CLAT common law admission test ek all india entrance examination hai jo 11 national law universities me hota hai LLB aur LLM donot ke liye LAWCET law common entrance test jo andrapradesh ke colleges aur universities me hota hai All India Law Entrance Test (AILET) jo National Law University (NLU) conduct karti hai Delhi University Law Entrance Exam Symbiosis Entrance Test (SET) Bharati Vidyapeeth comman entrance test (BVP CET) AMU Law Entrance Exam Aligarh Muslim University Law Entrance Examination Banaras Hindu University Undergraduate Entrance Test (BHU UET)

Entrance exam written test hota hai jisme questions reasoning, mathematics, engilsh, aur general knowledge se related hote hai. Entrance test ke baad personal interview bhi hota hai.

Syllabus in LLB course:
Ise maine alag blog mein bataya hua hai

Kise karna chahiye LLB course:
Jin logo ka presence of mind accha hai. Jo log extrovert hai Jinka communication aur presentation skills bahut accha hai Acchi research aur analysis skills

Kaha mil sakti hai jobs:
Courts aur judiciary Law firms me MNC’s me Colleges aur Universities me Banks ke legal departments me

Job ke types:
Attorney General District & Sessions Judge Munsifs (Sub-Magistrate) Advocate Notary Public Prosecutor Solicitor Legal Advisor Trustee Teacher & Lecturer Law Reporter Magistrate Legal Expert

Advanced course:
LLM jo ki ek ya 2 saal ka course hai. LLB ke baad student aage career growth ke liye LLM kar sakte hai. PhD in law bhi kar sakte hai.

Law ki degree students ko sirf jobs nahi balki ek aisi taakat provide karti hai jisse wo samaaj me ho rahi buraiyo ke khilaaf lad sakte hai. Agar aap ek acche lawyer hai to logo se aapko bahut respect milti hai. Public aur private sector dono me lawyers jobs paa sakte hai.

BBA Course details in Hindi

B.Com kare ya BBA