code hindi Information technology Career blogs Courses info Digital Marketing About

Interview questions jo normally pooche jaate hai

Interview me kuch questions hamesha pooche jaate hai. To uski preparation acche se karke jaana behtar hota hai. Aaiye aaj aapko un questions ke answers bataa deta hu.

1. Tell us something about yourself

Ye sawaal to 99 percent poocha hi jaata hai. Aapko shaayad ye lage ki bhai resume me sabkuch likha hua hai to mai kyu batau. Par ye sawaal poochne ka actual motive kuch aur hai. Interviewer aapki communication skills, confidence aur body language dekhna chahte hai. Isme aap apni personal life ke baare me mat bataaiye. Kuch log shuru ho jaate hai. Sir I love going on adventures. I like playing video games." Aisa mat kijiye please. Isme aapko bataana hai ki aapki qualifications kya hai. Aapke work experience ke baare me bataaiye. Kuch awards mile ho to wo bataaiye. Aapke kaaran company ko koi naya business ya profit mila ho to wo bataiye. Self introduction kaise dena hai iska maine ek detail me video bana raha hu. Usme maine bahut bareeki se bataaunga hai ki accha self introduction kaise dena chahiye demo ke saath. To agar aapne subscribe nahi kia hai to kar lijiye uski notification kel liye.

2. What are your strengths and weaknesses?

Isme bhi aapko apne personal cheeze discuss nahi karni jaise ki Sir mujhe hari sabjiya nahi pasand. Sir mujhe sirf pizza pasand hai. Apne professinal strengths aur weaknesses ke baare me bataaiye. Strengths aur weaknesses ko thoda explain karke bataaiye ho sake to koi example ke saath. Ho sake to 3-4 strengths bataaiye apne. Jaise aap bataa sakte hai ki "I am a quick learner. In my current company they introduced a tool few months back for sales management and in a short time I am very good at that tool." Acche se prepare karke jaayiga iska answer.

Weaknesses bahut hi soch samaj ke bataane chahiye. Isliye iska answer aapko pehle se hi acchi tarah se sochke aana padta hai. Ye answer aisa hona chahiye ki aapka weakness utna bada na ho jo job ke liye problem create karde aur us answer me aapko ye bhi bataana hoga ki us weakness ko door karne ke liye aap kya kar rahe hai. Jaise for example. Sometimes I work so much that I do not take rest in between which can affect my health. So I am taking care of it by checking that I take a little rest which it is required.

3. Why do you want to join this company?

Iska answer dene ke liye aap is Company ke baare me padhkar jaiega. Company ke acche points bataaiye interviewer ko aur bataiye ki kis tarah se aap apna career is company me long term me dekh sakte hai. Jaise agar ye company top 10 me hai to bataiye ki "This company is one of the top 10 companies in India. I will definetely be happy to be a part of this organisation." Ya fir aisa bol sakte hai "I have read that this Company has a very good work environment". Basically aapko Company ke baare me padhkar jaana hai aur usme se jo bhi acchi acchi cheeze hai woh bataakar ye bolna hai ki isliye mai ye company join karna chahta hu.

4. Why should I hire you?

Mai tumhe kyu naukri par rakhu. Ye kaafi aasaan sawaal hai. Isme bas aapko aapke strengths, skills, experience aur achievements ke baare me bataakar ye prove karna hai ki aap is job ke liye best ho. Job profile acche se padhkar jaaiye. Phir us job profile ko apne skills aur experience se match kijiye. Interviewer ko ye bataaiye ki aapke skills, qualification aur experience kis tarah se is job profile ko match ho rahe hai. Jo is job ko chahiye wah sab hai aapke paas. "Sir I think I have all the skills with good amount of experience required for this job".

5. How much salary are you expecting?

Agar aap thode experienced hai to aap 25-40% hike expect kar sakte hai. Normally shuru me salary ka zikr aaye to ye keh dena chahiye ki "I am expecting the best as per this role" aur HR round me exactly bataaiye ki kitna hike chahiye. Par interviewer zor de to aap ek range bataa sakte hai. Agar aap fresher hai to aap shuru me kah sakte hai ki "I am expecting it as per the range you have for this role". Aur baad me HR se discuss karte waqt aapko jab offer denge aur agar aapko lage ki salary kam di gayi hai to aap HR se keh sakte hai ki mai itna expect kar raha tha mere skills aur qualification ke hisaab se. Salary negotiation se kabhi bhi dariye mat. Salary negotiate karne se koi bhi offer aapse wapas nahi lega, kyuki har insaan yahi chahta hai ki uske salary uske skills aur experience ke mutabik hi mile.

Doston ye the kuch common questions jo interview me pooche jaate hai. Agar aapko koi aur sawaal ke baare me mai batau to subscribe kariye hamare youtube channel ko. Dhanyawaad.

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai