code hindi Information technologyCareer blogs Courses info Digital Marketing About

Database kya hai?

Database ye shabd sunte to ho lekin pata hai kya ki kya hota hai ye?

Database ek aisa system hota hai jo data ko store, retrieve, aur manage karta hai. Yeh data ko organized format mein store karke usse easily accessible aur retrievable banata hai.

Databases ka use karke companies apne data ko easily access kar sakte hai, update kar sakte hai, aur delete kar sakte hai. Yeh data ko secure rakhne mein madad karta hai.

Databases ka use software development, e-commerce, financial, aur anya fields mein hota hai. Databases ke different types hote hai jaise ki relational databases, NoSQL databases, in-memory databases.

To dosto, agar aap data ko store, retrieve, aur manage karna chahte hai to aapko apne needs ke according database ki choice karni hogi. Aur un databases ko use karna hoga jo aapke requirements ke according hai.

Video ke comments mein batao ki aapko kis tarah ke database ke baare mein pata hai?

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai