code hindi Information technology Career blogs Courses info Digital Marketing About

Web development aur Artificial intelligence inme se mai kaunsa mai choose karu?

Okay to aaj jo comments mein aya hua question hum lene waale hai wo ye hai ki Web development aur Artificial intelligence inme se mai kaunsa mai choose karu? Ye poocha hai kisi ne comments mein. Dekhiye web development aur AI mein se kaunsa choose karna hai ye depend karega aapke interests, career goals aur jo skills aap already possess karte hai us par.

Chaliye dono fields ko explore karte hai is video mein taaki aapko decide karna thoda sa aasaan ho jaye-

Pehle web development ko explore kar lete hai:

Web development mein invloved hai designing and creating websites and web applications. Web developers hybrid mobile apps bhi develope kar sakte hai. Isme kaafi saare career opportunities filhal available hai. Aap isme as a front end developer kaam kar sakte hai ya as a back-end developer kaam kar sakte hai ya phir dono front end aur back end jis full-stack developer kehte hai wo bhi ban sakte hai. Ya phi aap kisi area mein specialize kijiye jaise ki e-commerce, mobile app development etc.

Front-end development ke liye jo skills chahiye wo hai HTML, CSS, and JavaScript, as well as frameworks and libraries such as React, Angular, Vue.js etc. Back-end development ke liye jo skills chahiye wo hai backend programming languages jaise Java, Python etc. Aur Databases jaise ki sql, my sql, postgreSQL etc. inke baare mein pata hona chahiye. Aap database administration jo ki hai DBA usme bhi jaa sakte hai.

Aap agar aapko code nahi likhna hai to aap isme User experience designer ya web designer bhi ban sakte hai. Matlab ki aap website ya web apps ke liye design banaoge user experience ko dhyan mein rakhte hue. Jo aap photoshop mein ya kisi aur tool mein bana sakte hai.

To agar aapko web app ya websites banaana pasand hai ya phir aapko back-end ke logic likhna pasand hai to aap web development choose kar sakte hai.

Ab AI (Artificial Intelligence) ko explore kar lete hai:

AI mein involved hai development of intelligent systems that can perform tasks that typically require human intelligence, such as speech recognition, image processing, natural language processing, and decision-making.

AI mein aap intelligent systems develop karte hai jinme human intelligence aap implement karte hai typically jaise ki speech recognition, image processing, natural language processing, aur decision-making

AI mein knowledge chahiye programming languages jaise ki Python aur AI se related jo libraries hai jaise ki TensorFlow, PyTorch, ya scikit-learn unka bhi pata hona chahiye. Mathematical concepts ki samaj jaise ki linear algebra aur calculus, wo bhi beneficial hoga.

AI ek growing field hai jisme vast applications hai alag alag industries mein jaise ki healthcare, finance, autonomous vehicles, robotics etc. Agar aapko machine learning, data analysis aur complex problems ko algorithms ke zariye solve karne mein interest hai to AI ek promising path ho sakta hai.

AI mein jo career opportunities hai unme se kuch agar bataun to wo hai machine learning engineer, data scientist, AI researcher, AI consultant etc.

Ultimately, the choice depends on your personal preferences and long-term career goals. Aap kya kijiye ki dono areas ko explore kijiye aur ek better understanding gain kijiye ki aapko kisme zyada interest jag raha hai. Ye bhi mind mein rakhiye ki web development aur AI mutually exclusive nahi hai. Matlab ki kaafi web applications mein AI techniques bhi incorporated hote hai users ko personalized experiences provide karne ke liye ya phir intelligent features provide karne ke liye. To web development mein bhi kuch cases mein AI ka use hota hai.

To ye sab cheezon ko thoda explore karke, shaant hokar decide karna.

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai