code hindi Information technologyCareer blogs Courses info Digital Marketing About

Software deployment kya hota hai?

Namaskar mitro, kya aapko pata ki Software deployemnt matlab kya hota hai? Aaiye samajhte hai wahi apni simple bhasha mein

Waise doston deploy ko Hindi mein kehte hai Tainaat karna

Example ke taur par Software developer ya web developer ne koi aap bana to liya lekin use koi dusra use nahi kar sakta jab tak use kisi server par deploy na kar de?

To Software deployment mein wo saare steps, processes aur activites hote hai jo ek software system ya usme hone wale kisi update ko uske users tak available karte hai

Kaafi IT companies aur software developers software updates, patches aur naye applications ko deploy karte hai jisme manual process bhi hota hai aur automated process bhi hota hai.

Agar mai aapko kuch activites bataun jo software deployment mein common hai to wo hai ye-

software release, installation, testing, deployment, aur phir performance monitoring

Aur bhi cheezein requirement ke anusaar hoti hai jaise
Update, Built-in update, Version tracking etc.

Lekin aap confuse mat hoiye. Aap bas ye terms yaad rakhiye abhi ke liye ki - Software deployment
activities that make a software system available for use
software release, installation, testing, deployment

Yaad rahega na?

Aise hi useful videos ke liye subscribe zarur kijiye Career Code Hindi channel ko nahi kiya hai to. Dhanyawaad.

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai