code hindi Career blogs Courses info Digital Marketing Information technology About

मेरी Mathematics कमज़ोर है, क्या मैं BCA कर सकती हूँ?

मेरी Mathematics कमज़ोर है, क्या मैं BCA कर सकती हूँ?

Swagat hai Computer Science ke is podcast mein aapka. Kisine ye question poocha hai ek video ke comment mein ki Meri mathematics kamzor hai to kya mai BCA kar sakti hu? Waise aap logon ka aur koi question hai jispar aap chahte hai ki mai video banaun to comments mein likhna please, koshish karun jald banaane ki. Okay, Bachelor of Computer Applications jo course hai wo kya mai kar sakti hu Mathematics meri kamzor hone ke baawjood.

To straightforward jawaab sunna chahte ho ya phir thoda elaborate karke bataau? Iska mai seedha yes ya no to aise nahi keh sakta hu na kyunki mujhe ye pata nahi hai ki aapki mathematics kitni kamzor hai. Isliye poora video shanti se suniye taaki aapko zyaada clarity mile. Waise kitni kamzor hai aapki mathematics. Kya bilkul bhi koi simple problem solve nahi kar sakte ho aap. Bilkul bhi kuch samaj nahi aata? Practice karke bhi kuch samajh mein nahi aata Ya phir thodi bahut practice karke atleast pass to ho sakte ho? Okay waise aapko pata nahi hoga ki BCA ka mathematics aakhir hota kaisa to iska bhi clear idea nahi hoga aapko ki aap paas ho sakte ho ki nahi practice karke. Seedhe seedhe kahun to ji haan aap Bachelor of Computer Applications (BCA) course kar sakti hai agar aapka mathematics thoda kamzor hai phir bhi lekin dekhiye BCA ek degree program hai hai jo focus karta hai Computer Science par aur uske applications par. Isme included hota hai software development, programming, database management, web development, and more. Mathematics jo hai wo iske curriculum ka part hota hai. Is course curriculum ka part hota hai. curriculum to samajte hona? Course mein jo subjects hote hai wo. To isme jis level ka Mathematical knowledge chahiye wo usually utna advanced nahi hota hai jitna ki engineering ya pure mathematics courses mein chahiye hota hai.

BCA program mein kya cover hota hai? pata hai aapko? Usme basic mathematics concepts jo computer science se relevant hai jaise ki algebra, discrete mathematics, and statistics. Ye hote hai. Aur ye subjects usually is tarah se sikhaaye jaate hai joki computer science ke students ke anuroop ho. Okay Computer Science aur uske applications in programming aur problem-solving, inke liye jo Mathematics chahiye normally wo include karte hai lekin thoda usse zyaada bhi ho sakta hai but utni chinta karne ki zarurat nahi hai agar aap thoda sa mehnat karne ke liye ready ho to.

Ye aap note karle ki basic understanding of mathematics jo hai wo computer science ke kuch topics mein faydemand ho sakta hai especially jo algorithms and data structures hai unme.

Isliye BCA course mein study karte samay agar aap apne mathematics skills ko saath saath thoda improve kar sake, okay? uspar agar thoda aap work karen to kaafi faydemand hoga aapke liye. Aap additional jo resources hai jaise online tutorials hai uske zariye mathematics ko thoda improve kariye. Ya apne professors se consult kariye aapki mathematical foundation ko majboot karne ke liye jaise jaise aap BCA course mein progress karte jayenge waise waise.

Yaad rakhiye ki haa computer science mein mathematics ka kuch role to hai lekin ye field jo hai computer science wo kaafi broad hai. To isme pure mathematics ke beyond cheezein hoti hai. Dedication, consistent effort, aur practical application par agar aap focus kare to aap zarur BCA course mein acche se pass ho sakte hai aur Computer science industry mein apna career pursue kar sakte hai.

Dekhiye bilkul hi kuch samajh mein nahi aata hai mathematics practice karne ke bawjood to phir rehne dijiye aur agar thoda interest hai aur practice karke improve kar sakte ho to kariye. Thoda effort to daalna hoga na warna aise hi thodi samajh mein aa jayega bed par lete lete. Okay daro mat koshish karte raho. All the best. Video acchi lagi to like karo aur comment mein batao ki kaisa laga. Aur aapke jo questions hai uspar video banaau ki nahi. Milenge next podcast mein jald hi dhanyawaad.

BBA Course details in Hindi

B.Com kare ya BBA